tabāhī kā apnī nishāñ chhoḌ aa.e
varaq-dar-varaq dāstāñ chhoḌ aa.e
har ik ajnabī se pata pūchhte haiñ
tujhe zindagī ham kahāñ chhoḌ aa.e
vahī log jiine kā fan jānte haiñ
jo ehsās-e-sūd-o-ziyāñ chhoḌ aa.e
nikal aa.e tanhā tirī rah-guzar par
bhaTakne ko ham kārvāñ chhoḌ aa.e
tabahi ka apni nishan chhoD aae
waraq-dar-waraq dastan chhoD aae
har ek ajnabi se pata puchhte hain
tujhe zindagi hum kahan chhoD aae
wahi log jine ka fan jaante hain
jo ehsas-e-sud-o-ziyan chhoD aae
nikal aae tanha teri rah-guzar par
bhaTakne ko hum karwan chhoD aae
Source: Book : Junoon (Pg. 139) Author : Naseem Muqri Publication : Naseem Muqri (1990) Edition : 1990
Leave a comment