jab bhī Duube hue sūraj ne ubharnā chāhā
shahr vāloñ ne bhī galiyoñ meñ bikharnā chāhā
aaj kāñToñ se ulajhtā hai garebāñ us kā
jis ne sabze pe kabhī paañv na dharnā chāhā
ho ga.iiñ sūrat-e-dīvār havā.eñ haa.el
jab kisī ashk ne dāman pe utarnā chāhā
chāñdnī-shab thī ki maiñ thā ki havā ke saa.e
har kisī ne tire kūche meñ Thaharnā chāhā
le gayā 'kaif' salīboñ ko uThā kar koī
ġham ke māroñ ne kisī vaqt jo marnā chāhā
jab bhi Dube hue suraj ne ubharna chaha
shahr walon ne bhi galiyon mein bikharna chaha
aaj kanTon se ulajhta hai gareban us ka
jis ne sabze pe kabhi panw na dharna chaha
ho gain surat-e-diwar hawaen hael
jab kisi ashk ne daman pe utarna chaha
chandni-shab thi ki main tha ki hawa ke sae
har kisi ne tere kuche mein Thaharna chaha
le gaya 'kaif' salibon ko uTha kar koi
gham ke maron ne kisi waqt jo marna chaha
Source: Ham Qalam (Monthly)Vol. No. 05 Issue 4/5
Leave a comment