Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kaif Ahmed Siddiqui

  • Ghazal


ho gae nakaam to pachhtaen kya


ho ga.e nākām to pachhtā.eñ kyā
dostoñ ke sāmne sharmā.eñ kyā

ho rahe haiñ fail ham do saal se
ghar meñ jā kar apnā muñh dikhlā.eñ kyā

jab kisī sūrat nahīñ is se mafar
imtihāñ ke naam se ghabrā.eñ kyā

yaad kar leñ aaj thoḌā sā sabaq
master sāhab ke DanDe khā.eñ kyā

jab gurū jī ḳhud nahīñ samjhe savāl
apne shāgirdoñ ko vo samjhā.eñ kyā

paḌh nahīñ sakte to shaitānī kareñ
aa ga.e schōl meñ to jaa.eñ kyā

aao ham aapas meñ kuchh jhagḌā kareñ
khel se ab apnā dil bahlā.eñ kyā

pūchhte haiñ master ham kaun haiñ
koī batlāo ki ham batlā.eñ kyā

jab kahīñ zauq-e-suḳhan-fahmī nahīñ
'kaif' sāhab kī ġhazal ham gaa.eñ kyā

ho gae nakaam to pachhtaen kya
doston ke samne sharmaen kya

ho rahe hain fail hum do sal se
ghar mein ja kar apna munh dikhlaen kya

jab kisi surat nahin is se mafar
imtihan ke nam se ghabraen kya

yaad kar len aaj thoDa sa sabaq
master sahab ke DanDe khaen kya

jab guru ji KHud nahin samjhe sawal
apne shagirdon ko wo samjhaen kya

paDh nahin sakte to shaitani karen
aa gae school mein to jaen kya

aao hum aapas mein kuchh jhagDa karen
khel se ab apna dil bahlaen kya

puchhte hain master hum kaun hain
koi batlao ki hum batlaen kya

jab kahin zauq-e-suKHan-fahmi nahin
'kaif' sahab ki ghazal hum gaen kya


Leave a comment

+