udāsī kā samundar dekh lenā
mirī āñkhoñ meñ aa kar dekh lenā
hamāre hijr kī tamhīd kyā thī
mirī yādoñ kā daftar dekh lenā
tasavvur ke laboñ se chuum lūñgā
tirī yādoñ ke patthar dekh lenā
nujūmī ne ye kī hai pesh-goī
rulā.egā muqaddar dekh lenā
na rakhnā vāsta tum mujh se lekin
mirī hijrat kā manzar dekh lenā
tamannā hai agar milne kī mujh se
mujhe mere hī andar dekh lenā
makāñ shīshe kā banvāte ho 'āzar'
bahut ā.eñge patthar dekh lenā
udasi ka samundar dekh lena
meri aankhon mein aa kar dekh lena
hamare hijr ki tamhid kya thi
meri yaadon ka daftar dekh lena
tasawwur ke labon se chum lunga
teri yaadon ke patthar dekh lena
nujumi ne ye ki hai pesh-goi
rulaega muqaddar dekh lena
na rakhna wasta tum mujh se lekin
meri hijrat ka manzar dekh lena
tamanna hai agar milne ki mujh se
mujhe mere hi andar dekh lena
makan shishe ka banwate ho 'azar'
bahut aaenge patthar dekh lena
Source: Book : Dhoop Ka Dareecha (Pg. 63)
Leave a comment