Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kafeel Aazar Amrohvi

  • Ghazal


ye hadisa to hua hi nahin hai tere baad


ye hādisa to huā hī nahīñ hai tere ba.ad
ġhazal kisī ko kahā hī nahīñ hai tere ba.ad

hai pur-sukūn samundar kuchh is tarah dil kā
ki jaise chāñd khilā hī nahīñ hai tere ba.ad

mahaktī raat se dil se qalam se kāġhaz se
kisī se rabt rakhā hī nahīñ hai tere ba.ad

ḳhayāl ḳhvāb fasāne kahāniyāñ thiiñ magar
vo ḳhat tujhe bhī likhā hī nahīñ hai tere ba.ad

kahāñ se mahkegī hoñToñ pe lams kī ḳhushbū
kisī ko maiñ ne chhuā hī nahīñ hai tere ba.ad

charāġh palkoñ pe 'āzar' kisī kī yādoñ kā
qasam ḳhudā kī jalā hī nahīñ hai tere ba.ad

ye hadisa to hua hi nahin hai tere baad
ghazal kisi ko kaha hi nahin hai tere baad

hai pur-sukun samundar kuchh is tarah dil ka
ki jaise chand khila hi nahin hai tere baad

mahakti raat se dil se qalam se kaghaz se
kisi se rabt rakha hi nahin hai tere baad

KHayal KHwab fasane kahaniyan thin magar
wo KHat tujhe bhi likha hi nahin hai tere baad

kahan se mahkegi honTon pe lams ki KHushbu
kisi ko main ne chhua hi nahin hai tere baad

charagh palkon pe 'azar' kisi ki yaadon ka
qasam KHuda ki jala hi nahin hai tere baad


Source: Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 342) Author : Farooq Argali Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004) Edition : 2004

Leave a comment

+