Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kabir Ajmal

  • Ghazal


siyahi Dhal ke palkon par bhi aae


siyāhī Dhal ke palkoñ par bhī aa.e
koī lamha dhanak ban kar bhī aa.e

gulābī sīḌhiyoñ se chāñd utre
ḳhirām-e-nāz kā manzar bhī aa.e

lahū rishtoñ kā ab jamne lagā hai
koī sailāb mere ghar bhī aa.e

maiñ apnī fikr kā koh-e-nidā huuñ
koī hātim mire andar bhī aa.e

maiñ apne aap kā qātil huuñ 'ajmal'
mirā aaseb ab bāhar bhī aa.e

siyahi Dhal ke palkon par bhi aae
koi lamha dhanak ban kar bhi aae

gulabi siDhiyon se chand utre
KHiram-e-naz ka manzar bhi aae

lahu rishton ka ab jamne laga hai
koi sailab mere ghar bhi aae

main apni fikr ka koh-e-nida hun
koi hatim mere andar bhi aae

main apne aap ka qatil hun 'ajmal'
mera aaseb ab bahar bhi aae


Leave a comment

+