Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kabir Ajmal

  • Ghazal


ek tasawwur-e-be-karan tha aur main


ik tasavvur-e-be-karāñ thā aur maiñ
dard kā sail-e-ravāñ thā aur maiñ

ġham kā ik ātish-fishāñ thā aur maiñ
duur tak gahrā dhuāñ thā aur maiñ

kis se maiñ un kā Thikānā pūchhtā
sāmne ḳhālī makāñ thā aur maiñ

mere chehre se numāyāñ kaun thā
ā.inoñ kā ik jahāñ thā aur maiñ

ik shikasta naav thī ummīd kī
ek bahr-e-be-karāñ thā aur maiñ

justujū thī manzil-e-mauhūm kī
ye zamīñ thī āsmāñ thā aur maiñ

kaun thā jo dhyān se suntā mujhe
qissa-e-ashuftagāñ thā aur maiñ

haath meñ 'ajmal' koī tesha na thā
azm thā koh-e-girāñ thā aur maiñ

ek tasawwur-e-be-karan tha aur main
dard ka sail-e-rawan tha aur main

gham ka ek aatish-fishan tha aur main
dur tak gahra dhuan tha aur main

kis se main un ka Thikana puchhta
samne KHali makan tha aur main

mere chehre se numayan kaun tha
aainon ka ek jahan tha aur main

ek shikasta naw thi ummid ki
ek bahr-e-be-karan tha aur main

justuju thi manzil-e-mauhum ki
ye zamin thi aasman tha aur main

kaun tha jo dhyan se sunta mujhe
qissa-e-ashuftagan tha aur main

hath mein 'ajmal' koi tesha na tha
azm tha koh-e-giran tha aur main


Leave a comment

+