Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Bakul Dev

  • Ghazal


ye kis ki yaad ka dil par rafu tha


ye kis kī yaad kā dil par rafū thā
ki bah jaane pe āmāda lahū thā

chamakte haiñ jo patthar se yahāñ ab
unhīñ palkoñ meñ sail-e-ābjū thā

kashish tujh sī na thī tere ġhamoñ meñ
lab-o-lahja magar haañ hū-ba-hū thā

ujāle sī koī shai bach ga.ī thī
us ik lamhe meñ jab maiñ thā na tū thā

thamī ik nabz to uqda khulā ye
ḳhamoshī kā sarāpā hā-o-hū thā

mile ab ke to ro.e TuuT kar ham
gunāh apnī sazā ke rū-ba-rū thā

kabhī ḳhushbū huā karte the ham bhī
kabhī qissa hamārā kū-ba-kū thā

ye kis ki yaad ka dil par rafu tha
ki bah jaane pe aamada lahu tha

chamakte hain jo patthar se yahan ab
unhin palkon mein sail-e-abju tha

kashish tujh si na thi tere ghamon mein
lab-o-lahja magar han hu-ba-hu tha

ujale si koi shai bach gai thi
us ek lamhe mein jab main tha na tu tha

thami ek nabz to uqda khula ye
KHamoshi ka sarapa ha-o-hu tha

mile ab ke to roe TuT kar hum
gunah apni saza ke ru-ba-ru tha

kabhi KHushbu hua karte the hum bhi
kabhi qissa hamara ku-ba-ku tha


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+