Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iftikhar Imam Siddiqi

  • Ghazal


tere qarib rahun ya ki dur jaun main


tire qarīb rahūñ yā ki duur jā.ūñ maiñ
hai dil kā ek hī aalam tujhī ko chāhūñ maiñ

maiñ jāntā huuñ vo rakhtā hai chāhateñ kitnī
magar ye baat use kis tarah batā.ūñ maiñ

jo chup rahā to vo samjhegā bad-gumān mujhe
burā bhalā hī sahī kuchh to bol aa.uuñ maiñ

phir us ke ba.ad ta.alluq meñ fāsle hoñge
mujhe sambhāl ke rakhnā bichhaḌ na jā.ūñ maiñ

mohabbatoñ kī parakh kā yahī to rasta hai
tirī talāsh meñ niklūñ tujhe na pā.ūñ maiñ

tere qarib rahun ya ki dur jaun main
hai dil ka ek hi aalam tujhi ko chahun main

main jaanta hun wo rakhta hai chahaten kitni
magar ye baat use kis tarah bataun main

jo chup raha to wo samjhega bad-guman mujhe
bura bhala hi sahi kuchh to bol aaun main

phir us ke baad talluq mein fasle honge
mujhe sambhaal ke rakhna bichhaD na jaun main

mohabbaton ki parakh ka yahi to rasta hai
teri talash mein niklun tujhe na paun main


Leave a comment

+