hai mujhe pās-e-vafā ai but-e-ayyār faqat
varna kuchh tū hī nahīñ ek tarah-dār faqat
aarzū is dil-e-shaidā kī yahī hai ki tirā
ek bosa kabhī de de lab-e-sofār faqat
vā.izā ḳhuld ko ham le ke kareñ kyā ham ko
rashk-e-sad-ḳhuld hai vo sāya-e-dīvār faqat
faḳhr samjhe haiñ sab abnā-e-jahāñ da.ave ko
hai agar aar to ik mujh hī ko hai aar faqat
ai gul-andām tire sar kī qasam ġhairoñ kī
ḳhaar hai ek ye nazroñ meñ gunahgār faqat
ai falak aur nahīñ kuchh havas-e-dil un se
hāl-e-dil apnā kiyā chāhūñ huuñ iz.hār faqat
chāragar sūda-e-almās chhiḌak mushk ke saath
dil ke zaḳhmoñ par na rakh marham-e-zañgār faqat
yuuñ to sab misrī kī Daliyāñ haiñ magar 'aish' sunā
dil-pasand apne haiñ ik 'mīr' ke ash.ār faqat
hai mujhe pas-e-wafa ai but-e-ayyar faqat
warna kuchh tu hi nahin ek tarah-dar faqat
aarzu is dil-e-shaida ki yahi hai ki tera
ek bosa kabhi de de lab-e-sofar faqat
waiza KHuld ko hum le ke karen kya hum ko
rashk-e-sad-KHuld hai wo saya-e-diwar faqat
faKHr samjhe hain sab abna-e-jahan dawe ko
hai agar aar to ek mujh hi ko hai aar faqat
ai gul-andam tere sar ki qasam ghairon ki
KHar hai ek ye nazron mein gunahgar faqat
ai falak aur nahin kuchh hawas-e-dil un se
haal-e-dil apna kiya chahun hun izhaar faqat
chaaragar suda-e-almas chhiDak mushk ke sath
dil ke zaKHmon par na rakh marham-e-zangar faqat
yun to sab misri ki Daliyan hain magar 'aish' suna
dil-pasand apne hain ek 'mir' ke ashaar faqat
Leave a comment