Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fahmi Badayuni

  • Ghazal


sahaare jaane-pahchane bana lun


sahāre jāne-pahchāne banā luuñ
sutūnoñ par tire shāne banā luuñ

ijāzat ho to apnī shā.erī se
tire do chaar dīvāne banā luuñ

tirā saaya paḌā thā jis jagah par
maiñ us ke nīche tah-ḳhāne banā luuñ

tire moze yahīñ par rah ga.e haiñ
maiñ in se apne dastāne banā luuñ

abhī ḳhālī na kar ḳhud ko Thahar jā
maiñ apnī ruuh meñ ḳhāne banā luuñ

sahaare jaane-pahchane bana lun
sutunon par tere shane bana lun

ijazat ho to apni shaeri se
tere do chaar diwane bana lun

tera saya paDa tha jis jagah par
main us ke niche tah-KHane bana lun

tere moze yahin par rah gae hain
main in se apne dastane bana lun

abhi KHali na kar KHud ko Thahar ja
main apni ruh mein KHane bana lun


Leave a comment

+