Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wajeeh Sani

  • Ghazal


kya bataen uske bin kaise zindagi kar li


kyā batā.eñ us ke bin kaise zindagī kar lī
dhaḌkaneñ to zinda haiñ dil ne ḳhud-kushī kar lī

maiñ use samajhne ke marhaloñ meñ uljhā thā
us ne jaane chupke se kaise dostī kar lī

dostoñ maiñ andhā huuñ ye ḳhushī bhī kam hai kyā
us ne merī āñkhoñ se ghar meñ raushnī kar lī

niiñd māñgte phirne meñ anā kā saudā thā
is anā meñ ḳhvāboñ se ham ne dushmanī kar lī

zo.am aur anā kā ham aur kyā galā ghoTeñ
us kā har kahā maanā baat jo kahī kar lī

us ke chhoḌ jaane par kuchh na kuchh to karnā thā
kuchh na kar sake āḳhir ham ne shā.irī kar lī

kya bataen us ke bin kaise zindagi kar li
dhaDkanen to zinda hain dil ne KHud-kushi kar li

main use samajhne ke marhalon mein uljha tha
us ne jaane chupke se kaise dosti kar li

doston main andha hun ye KHushi bhi kam hai kya
us ne meri aankhon se ghar mein raushni kar li

nind mangte phirne mein ana ka sauda tha
is ana mein KHwabon se hum ne dushmani kar li

zoam aur ana ka hum aur kya gala ghoTen
us ka har kaha mana baat jo kahi kar li

us ke chhoD jaane par kuchh na kuchh to karna tha
kuchh na kar sake aaKHir hum ne shairi kar li


Source: Book : Mohabbat Rasty me.n hai (Pg. 159) Author : Wajih Sani Publication : Samiya Publication (2016) Edition : 2016

Leave a comment

+