Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hakeem Aagha Jan Aish

  • Ghazal


mujhse puchhe hain wo ki kya hai dil


mujh se pūchhe haiñ vo ki kyā hai dil
kyā kahūñ ḳhāna-e-ḳhudā hai dil

kyā kahūñ kyā burī balā hai dil
us kī zulfoñ se jā guthā hai dil

terī furqat meñ ai but-e-dam-bāz
ho ke āñkhoñ se ḳhuuñ bahā hai dil

mil ke us se huā mirā dushman
dekh kyā saḳht bevafā hai dil

jab se āshiq huā huuñ us kā maiñ
rāt-din sirf mudda.ā hai dil

unsur-e-ḳhāk sard dil ye garm
kaun sī ḳhaak se banā hai dil

ai muhavvis jo yaar ke dar par
ḳhaak ho.e to kīmiyā hai dil

ġham-e-hijrāñ meñ ho ke qatra-e-ḳhūñ
nok-e-mizhgāñ pe aa rahā hai dil

siine meñ ik khaTak sī hai bas aur
ham nahīñ jānte ki kyā hai dil

yaad meñ us ke tīr-e-mizhgāñ ke
hadaf-e-nāvak-e-balā hai dil

tujh se koī bhalā mile kyuuñ kar
terā har harf ḳhud judā hai dil

qadr-e-dil 'aish' koī kyā jaane
maḳhzan-e-rāz-e-kibriyā hai dil

mujh se puchhe hain wo ki kya hai dil
kya kahun KHana-e-KHuda hai dil

kya kahun kya buri bala hai dil
us ki zulfon se ja gutha hai dil

teri furqat mein ai but-e-dam-baz
ho ke aankhon se KHun baha hai dil

mil ke us se hua mera dushman
dekh kya saKHt bewafa hai dil

jab se aashiq hua hun us ka main
raat-din sirf muddaa hai dil

unsur-e-KHak sard dil ye garm
kaun si KHak se bana hai dil

ai muhawwis jo yar ke dar par
KHak hoe to kimiya hai dil

gham-e-hijran mein ho ke qatra-e-KHun
nok-e-mizhgan pe aa raha hai dil

sine mein ek khaTak si hai bas aur
hum nahin jaante ki kya hai dil

yaad mein us ke tir-e-mizhgan ke
hadaf-e-nawak-e-bala hai dil

tujh se koi bhala mile kyun kar
tera har harf KHud juda hai dil

qadr-e-dil 'aish' koi kya jaane
maKHzan-e-raaz-e-kibriya hai dil


Leave a comment

+