vaqt kī rāgnī giit gaatī rahī
aur maiñ giit kī dhun banātī rahī
barq thī gir ga.ī shaḳhs thā jal gayā
der tak raakh se aañch aatī rahī
hijr kī raat thī jāgnā shart thā
chāñdnī niiñd ke par banātī rahī
aap hī aap vo gungunātā rahā
aap hī aap maiñ muskurātī rahī
jal ga.ī maiñ magar dil jigar kab jale
aañch kī ik kamī sar uThātī rahī
kaam aulād ke sahl hote rahe
māmtā farz apnā nibhātī rahī
waqt ki ragni git gati rahi
aur main git ki dhun banati rahi
barq thi gir gai shaKHs tha jal gaya
der tak rakh se aanch aati rahi
hijr ki raat thi jagna shart tha
chandni nind ke par banati rahi
aap hi aap wo gungunata raha
aap hi aap main muskuraati rahi
jal gai main magar dil jigar kab jale
aanch ki ek kami sar uThati rahi
kaam aulad ke sahl hote rahe
mamta farz apna nibhati rahi
Source:
Leave a comment