Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Prabudha Saurabh

  • Ghazal


gorakh-dhandha ho jaun kya?


gorakh-dhandhā ho jā.ūñ kyaa?
maiñ bhī tum sā ho jā.ūñ kyaa?

ġhazloñ kī bastī suunī hai
phir āvāra ho jā.ūñ kyaa?

sach kā girvī chhuḌvānā hai
thoḌā jhūTā ho jā.ūñ kyaa?

sāvan ne aañsū se pūchhā
maiñ bhī khārā ho jā.ūñ kyaa?

sab ummīdeñ Duub rahī haiñ
tinkā tinkā ho jā.ūñ kyaa?

ghar daftar ke baTvāre meñ
aadhā aadhā ho jā.ūñ kyaa?

manDī ab bas uThne ko hai
thoḌā sastā ho jā.ūñ kyaa?

sab kā ho kar dekh chukā huuñ
vāpas ḳhud kā ho jā.ūñ kyaa?

gorakh-dhandha ho jaun kya?
main bhi tum sa ho jaun kya?

ghazlon ki basti suni hai
phir aawara ho jaun kya?

sach ka girwi chhuDwana hai
thoDa jhuTa ho jaun kya?

sawan ne aansu se puchha
main bhi khaara ho jaun kya?

sab ummiden Dub rahi hain
tinka tinka ho jaun kya?

ghar daftar ke baTware mein
aadha aadha ho jaun kya?

manDi ab bas uThne ko hai
thoDa sasta ho jaun kya?

sab ka ho kar dekh chuka hun
wapas KHud ka ho jaun kya?


Leave a comment

+