koī Thokar is ne jab khaa.ī na thī
zindagī ye raah par aa.ī na thī
aap kī bāteñ thiiñ bāteñ hī faqat
aap kī bātoñ meñ gahrā.ī na thī
har qadam par ranj-o-ġham the muntazir
kis jagah merī pazīrā.ī na thī
zindagī thī ik sukūt-e-mustaqil
mushkiloñ se jab shanāsā.ī na thī
aap kī yādeñ thiiñ dil ke aas paas
zindagī meñ koī tanhā.ī na thī
ek bhī puurī na ho paa.ī 'karan'
kaun sī us ne qasam khaa.ī na thī
koi Thokar is ne jab khai na thi
zindagi ye rah par aai na thi
aap ki baaten thin baaten hi faqat
aap ki baaton mein gahrai na thi
har qadam par ranj-o-gham the muntazir
kis jagah meri pazirai na thi
zindagi thi ek sukut-e-mustaqil
mushkilon se jab shanasai na thi
aap ki yaaden thin dil ke aas pas
zindagi mein koi tanhai na thi
ek bhi puri na ho pai 'karan'
kaun si us ne qasam khai na thi
Source: Book : Gulzar-e-Sukhan (Pg. 34) Author : Karan Singh Karan Publication : Karan Singh Karan (2014) Edition : 2014
Leave a comment