Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameel Malik

  • Ghazal


jurm tera na sahi meri saza KHub sahi


jurm terā na sahī merī sazā ḳhuub sahī
ā.ina-ḳhāna-e-hastī kī adā ḳhuub sahī

paas se to tirī āñkhoñ ke bhañvar le Duube
duur se jalva-e-girdāb-e-balā ḳhuub sahī

kaisā sāvan hai ki jo khul ke barastā hī nahīñ
dekhne meñ tirī zulfoñ kī ghaTā ḳhuub sahī

ghar meñ jo baat hai vo tere shabistāñ meñ kahāñ
jān-e-yārāñ tere kūche kī havā ḳhuub sahī

zauq-e-jalvat meñ tab-o-tāb-e-haqīqat bhī to hai
shauq-e-ḳhalvat-kada-e-sāz-o-sadā ḳhuub sahī

din ko sahrā meñ bagūloñ kā safar bhī dekho
sub.h-dam baaġh meñ ye raqs-e-sabā ḳhuub sahī

sar-zamīneñ haiñ bahut ruuh ke pātāl meñ bhī
māh-o-mirrīḳh pe āvāz-e-darā ḳhuub sahī

dost zindān-e-anāsir se rihā.ī ma.alūm
dasht-e-imkān-e-taḳhayyul kī fazā ḳhuub sahī

vus.ateñ aur bahut haiñ ġham-e-daurāñ ke liye
qibla-e-jāñ ke liye qibla-numā ḳhuub sahī

ḳhūb-tar hai mirī taz.īn se har paikar-e-jāñ
terī taḳhlīq kā har naqsh-e-baqā ḳhuub sahī

paañv meñ apnā hī saaya hai pareshān 'jamīl'
sar pe dastār-e-par-o-bāl-e-humā ḳhuub sahī

jurm tera na sahi meri saza KHub sahi
aaina-KHana-e-hasti ki ada KHub sahi

pas se to teri aankhon ke bhanwar le Dube
dur se jalwa-e-girdab-e-bala KHub sahi

kaisa sawan hai ki jo khul ke barasta hi nahin
dekhne mein teri zulfon ki ghaTa KHub sahi

ghar mein jo baat hai wo tere shabistan mein kahan
jaan-e-yaran tere kuche ki hawa KHub sahi

zauq-e-jalwat mein tab-o-tab-e-haqiqat bhi to hai
shauq-e-KHalwat-kada-e-saz-o-sada KHub sahi

din ko sahra mein bagulon ka safar bhi dekho
subh-dam bagh mein ye raqs-e-saba KHub sahi

sar-zaminen hain bahut ruh ke patal mein bhi
mah-o-mirriKH pe aawaz-e-dara KHub sahi

dost zindan-e-anasir se rihai malum
dasht-e-imkan-e-taKHayyul ki faza KHub sahi

wusaten aur bahut hain gham-e-dauran ke liye
qibla-e-jaan ke liye qibla-numa KHub sahi

KHub-tar hai meri tazin se har paikar-e-jaan
teri taKHliq ka har naqsh-e-baqa KHub sahi

panw mein apna hi saya hai pareshan 'jamil'
sar pe dastar-e-par-o-baal-e-huma KHub sahi


Source: Book : baar-e-safar (Pg. 46)

Leave a comment

+