Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kabir Ajmal

  • Ghazal


hujum-e-sayyargan mein raushan diya usi ka


hujūm-e-sayyārgāñ meñ raushan diyā usī kā
fasīl-e-shab par bhī gul khilā.e huā usī kā

usī kī shah par taraf taraf raqs-e-mauj-e-girya
tamām girdāb-e-ḳhūñ pe pahrā bhī thā usī kā

usī kā lams-e-gudāz raushan kare shab-e-ġham
havā-e-mast-e-visāl kā silsila usī kā

usī ke ġham meñ dhuāñ dhuāñ chashm-e-rañg-o-naġhma
so aks-zār-e-ḳhayāl bhī mojaza usī kā

usī ke hoñToñ ke phuul bāb-e-qubūl chūmeñ
so ham uThā laa.eñ ab ke harf-e-duā usī kā

usī se 'ajmal' tamām fasl-e-ġhubār-e-sahrā
udaas āñkhoñ meñ phir bhī raushan diyā usī kā

hujum-e-sayyargan mein raushan diya usi ka
fasil-e-shab par bhi gul khilae hua usi ka

usi ki shah par taraf taraf raqs-e-mauj-e-girya
tamam girdab-e-KHun pe pahra bhi tha usi ka

usi ka lams-e-gudaz raushan kare shab-e-gham
hawa-e-mast-e-visal ka silsila usi ka

usi ke gham mein dhuan dhuan chashm-e-rang-o-naghma
so aks-zar-e-KHayal bhi mojaza usi ka

usi ke honTon ke phul bab-e-qubul chumen
so hum uTha laen ab ke harf-e-dua usi ka

usi se 'ajmal' tamam fasl-e-ghubar-e-sahra
udas aankhon mein phir bhi raushan diya usi ka


Leave a comment

+