Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Habeeb Aarvi

  • Ghazal


yaad jo aae KHud sharmaen uf ri jawani hae zamane


yaad jo aa.e ḳhud sharmā.eñ uf rī javānī haa.e zamāne
jeTh meñ baiThe sāvan gaa.eñ uf rī javānī haa.e zamāne

hañste hañste ruuTh bhī jaa.eñ uf rī javānī haa.e zamāne
sonā chāñdī donoñ kaTā.eñ uf rī javānī haa.e zamāne

duur junūñ meñ yaas kā aalam hashr se pahle hashr kā manzar
taptā mausam sard havā.eñ uf rī javānī haa.e zamāne

din kā chakkar raat ke phere paañv dabā kar raah kā chalnā
chor kī sūrat ḳhud ghabrā.eñ uf rī javānī haa.e zamāne

giit surīlā taan anokhī nashshe kā aalam kaif sarāpā
jaise kanhayyā bansī bajā.eñ uf rī javānī haa.e zamāne

kis kā Dar aur kis kā khaTkā ek hī sāhil ek hī rasta
sapnoñ kī naav khete jaa.eñ uf rī javānī haa.e zamāne

aah 'habīb' is daur kī bāteñ ḳhvāb kī lazzat yaas kā aalam
kartī thiiñ ishāre jab lailā.eñ uf rī javānī haa.e zamāne

yaad jo aae KHud sharmaen uf ri jawani hae zamane
jeTh mein baiThe sawan gaen uf ri jawani hae zamane

hanste hanste ruTh bhi jaen uf ri jawani hae zamane
sona chandi donon kaTaen uf ri jawani hae zamane

dur junun mein yas ka aalam hashr se pahle hashr ka manzar
tapta mausam sard hawaen uf ri jawani hae zamane

din ka chakkar raat ke phere panw daba kar rah ka chalna
chor ki surat KHud ghabraen uf ri jawani hae zamane

git surila tan anokhi nashshe ka aalam kaif sarapa
jaise kanhayya bansi bajaen uf ri jawani hae zamane

kis ka Dar aur kis ka khaTka ek hi sahil ek hi rasta
sapnon ki naw khete jaen uf ri jawani hae zamane

aah 'habib' is daur ki baaten KHwab ki lazzat yas ka aalam
karti thin ishaare jab lailaen uf ri jawani hae zamane


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+