Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faiz Ahmad Faiz

  • Ghazal


ye kis KHalish ne phir is dil mein aashiyana kiya


ye kis ḳhalish ne phir is dil meñ āshiyāna kiyā
phir aaj kis ne suḳhan ham se ġhā.ebāna kiyā

ġham-e-jahāñ ho ruḳh-e-yār ho ki dast-e-adū
sulūk jis se kiyā ham ne āshiqāna kiyā

the ḳhāk-e-rāh bhī ham log qahr-e-tūfāñ bhī
sahā to kyā na sahā aur kiyā to kyā na kiyā

ḳhushā ki aaj har ik mudda.ī ke lab par hai
vo raaz jis ne hameñ rāñda-e-zamāna kiyā

vo hīla-gar jo vafā-jū bhī hai jafā-ḳhū bhī
kiyā bhī 'faiz' to kis but se dostāna kiyā

ye kis KHalish ne phir is dil mein aashiyana kiya
phir aaj kis ne suKHan hum se ghaebana kiya

gham-e-jahan ho ruKH-e-yar ho ki dast-e-adu
suluk jis se kiya hum ne aashiqana kiya

the KHak-e-rah bhi hum log qahr-e-tufan bhi
saha to kya na saha aur kiya to kya na kiya

KHusha ki aaj har ek muddai ke lab par hai
wo raaz jis ne hamein randa-e-zamana kiya

wo hila-gar jo wafa-ju bhi hai jafa-KHu bhi
kiya bhi 'faiz' to kis but se dostana kiya

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Jagjit Singh RECITATIONS Faiz Ahmad Faiz



00:00/00:00 ye kis KHalish ne phir is dil mein aashiyana kiya Faiz Ahmad Faiz

Source: Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 553)

Leave a comment

+