Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yusuf Hasan

  • Ghazal


usi harif ki ghaarat-gari ka Dar bhi tha


usī harīf kī ġhārat-garī kā Dar bhī thā
ye dil kā dard magar zād-e-rahguzar bhī thā

ye jism-o-jān tirī hī atā sahī lekin
tire jahān meñ jiinā mirā hunar bhī thā

isī pe shahr kī saarī havā.eñ barham thiiñ
ki ik diyā mire ghar kī muñDer par bhī thā

mujhe kahīñ kā na rakkhā safed-poshī ne
maiñ gard gard uThā thā to mo'tabar bhī thā

isī khañDar meñ mire ḳhvāb kī galī bhī thī
galī meñ peḌ bhī thā peḌ par samar bhī thā

maiñ surḳh-rū thā ḳhudā.ī ke rū-ba-rū 'yūsuf'
ki us kī chaah kā ilzām mere sar bhī thā

usi harif ki ghaarat-gari ka Dar bhi tha
ye dil ka dard magar zad-e-rahguzar bhi tha

ye jism-o-jaan teri hi ata sahi lekin
tere jahan mein jina mera hunar bhi tha

isi pe shahr ki sari hawaen barham thin
ki ek diya mere ghar ki munDer par bhi tha

mujhe kahin ka na rakkha safed-poshi ne
main gard gard uTha tha to mo'tabar bhi tha

isi khanDar mein mere KHwab ki gali bhi thi
gali mein peD bhi tha peD par samar bhi tha

main surKH-ru tha KHudai ke ru-ba-ru 'yusuf'
ki us ki chah ka ilzam mere sar bhi tha


Leave a comment

+