Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yusuf Azmi

  • Ghazal


tanhai ki qabr se uTh kar main saDkon par kho jata hun


tanhā.ī kī qabr se uTh kar maiñ saḌkoñ par kho jaatā huuñ
chehroñ ke gahre sāgar meñ murda āñkheñ pheñk aatā huuñ

maiñ koī bargad to nahīñ huuñ sadiyoñ Thahrūñ is dhartī par
dhund meñ lipTe ḳhvāboñ kā qad lamha lamha naap rahā huuñ

vo to jhuuT kī chādar oḌhe phailā sāgar phāñd chukā hai
maiñ hī sach kī maalā japte is dhartī meñ Duub rahā huuñ

paanī kī maujoñ pe likkhī hai lamhoñ kī be-rūh kahānī
kyā paayā hai kyā khoyā hai maiñ sadiyoñ se khoj rahā huuñ

'āzmī' apnī ye duniyā ho jaise koī bhūl-bhulayyāñ
dhund meñ lipTe ḳhvāboñ hī se āñkh-mīcholī khel rahā huuñ

tanhai ki qabr se uTh kar main saDkon par kho jata hun
chehron ke gahre sagar mein murda aankhen phenk aata hun

main koi bargad to nahin hun sadiyon Thahrun is dharti par
dhund mein lipTe KHwabon ka qad lamha lamha nap raha hun

wo to jhuT ki chadar oDhe phaila sagar phand chuka hai
main hi sach ki mala japte is dharti mein Dub raha hun

pani ki maujon pe likkhi hai lamhon ki be-ruh kahani
kya paya hai kya khoya hai main sadiyon se khoj raha hun

'azmi' apni ye duniya ho jaise koi bhul-bhulayyan
dhund mein lipTe KHwabon hi se aankh-micholi khel raha hun


Leave a comment

+