Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wafa Naqvi

  • Ghazal


baDi udas hain shaMein tere visal ke baad


baḌī udaas haiñ shāmeñ tire visāl ke ba.ad
ki zaḳhm phir se ubhar aa.e indimāl ke ba.ad

tumhārī baat hī taslīm kī bahar-sūrat
zamāne bhar ke dimāġhoñ ne qīl-o-qāl ke ba.ad

kahāñ huuñ kaun huuñ kaisā huuñ maiñ kahāñ kā huuñ
koī ḳhayāl na aayā tire ḳhayāl ke ba.ad

huī nasīb na izzat hayāt meñ jis ko
sajā huā thā vahī ghar meñ intiqāl ke ba.ad

bhulā sakegī na sūraj kī dāstān zamīn
gayā hai ḳhema-e-shab meñ vo kis kamāl ke ba.ad

ḳhamoshiyoñ kī zabāneñ haiñ surḳh āñkhoñ meñ
ajiib tarz-e-takallum hai ik savāl ke ba.ad

baDi udas hain shamen tere visal ke baad
ki zaKHm phir se ubhar aae indimal ke baad

tumhaari baat hi taslim ki bahar-surat
zamane bhar ke dimaghon ne qil-o-qal ke baad

kahan hun kaun hun kaisa hun main kahan ka hun
koi KHayal na aaya tere KHayal ke baad

hui nasib na izzat hayat mein jis ko
saja hua tha wahi ghar mein intiqal ke baad

bhula sakegi na suraj ki dastan zamin
gaya hai KHema-e-shab mein wo kis kamal ke baad

KHamoshiyon ki zabanen hain surKH aankhon mein
ajib tarz-e-takallum hai ek sawal ke baad


Leave a comment

+