Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ibraheem Hammad

  • Ghazal


ek dafa wo mujhe dil mein to aane deta


ek daf.a vo mujhe dil meñ to aane detā
maiñ use shaam nahīñ detā zamāne detā

aap ke ġham pe bahut kaam kiyā hai maiñ ne
ab maiñ rotā huuñ to aañsū nahīñ aane detā

vo mujhe ek se pahle nahīñ sone detī
maiñ use ḳhvāb se jaldī nahīñ jaane detā

rab ke aage to tar-o-tāza gayā hotā maiñ
vaqt kuchh der mujhe Tek lagāne detā

sher kā rizq in āñkhoñ meñ hai lekin mire dost
dil mujhe hoñT se uupar nahīñ jaane detā

har hasīñ laḌkī ko taslīm kiyā kartā huuñ
koī misrā nahīñ maiñ girne girāne detā

ek dafa wo mujhe dil mein to aane deta
main use sham nahin deta zamane deta

aap ke gham pe bahut kaam kiya hai main ne
ab main rota hun to aansu nahin aane deta

wo mujhe ek se pahle nahin sone deti
main use KHwab se jaldi nahin jaane deta

rab ke aage to tar-o-taza gaya hota main
waqt kuchh der mujhe Tek lagane deta

sher ka rizq in aankhon mein hai lekin mere dost
dil mujhe honT se upar nahin jaane deta

har hasin laDki ko taslim kiya karta hun
koi misra nahin main girne girane deta


Leave a comment

+