Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Obaid Siddiqi

  • Ghazal


kaise badal rahe ho batata nahin hai kya


kaise badal rahe ho batātā nahīñ hai kyā
ā.īna koī tum ko dikhātā nahīñ hai kyā

ḳhalq-e-ḳhudā kā ḳhauf to dil meñ nahīñ rahā
tum ko ḳhudā kā ḳhauf bhī aatā nahīñ hai kyā

tārīk lag rahī hai hai shab-e-māhtāb bhī
koī yahāñ charāġh jalātā nahīñ hai kyā

bāshindagān-e-shahr sabhī mahv-e-ḳhvāb haiñ
in ko tilsim-e-shab bhī jagātā nahīñ hai kyā

kaise badal rahe ho batata nahin hai kya
aaina koi tum ko dikhata nahin hai kya

KHalq-e-KHuda ka KHauf to dil mein nahin raha
tum ko KHuda ka KHauf bhi aata nahin hai kya

tarik lag rahi hai hai shab-e-mahtab bhi
koi yahan charagh jalata nahin hai kya

bashindagan-e-shahr sabhi mahw-e-KHwab hain
in ko tilsim-e-shab bhi jagata nahin hai kya

RECITATIONS Obaid Siddiqi



00:00/00:00 kaise badal rahe ho batata nahin hai kya Obaid Siddiqi

Source: Book : Kashkol (Pg. 112) Author : Tahir Faraz Publication : Isteara Publications (2004) Edition : 2004

Leave a comment

+