mai se raushan rahe ayāġh apnā
gul na ho sāqiyā charāġh apnā
hijr meñ tar ho kyā dimāġh apnā
ḳhushk lab aap hai ayāġh apnā
nik.hat-e-zulf jab se aa.ī hai
nahīñ miltā hameñ dimāġh apnā
kis kī ham justujū meñ nikle the
nahīñ paate kahīñ surāġh apnā
kyā hai mazkūr-e-marham-e-kāfūr
jab namak saudā ho na daaġh apnā
hai shab-e-hijr vādī-e-vahshat
dīda-e-ġhūl hai charāġh apnā
rāt-din gul-ruḳhoñ se sohbat thī
yaad aatā hai ḳhāna-bāġh apnā
so rahā jo lipaT ke vo gul-e-tar
dil huā aaj bāġh-bāġh apnā
barg-e-gul saaf ban gayā phāhā
kyā mo.attar huā dimāġh apnā
mai se raushan rahe ayagh apna
gul na ho saqiya charagh apna
hijr mein tar ho kya dimagh apna
KHushk lab aap hai ayagh apna
nikhat-e-zulf jab se aai hai
nahin milta hamein dimagh apna
kis ki hum justuju mein nikle the
nahin pate kahin suragh apna
kya hai mazkur-e-marham-e-kafur
jab namak sauda ho na dagh apna
hai shab-e-hijr wadi-e-wahshat
dida-e-ghul hai charagh apna
raat-din gul-ruKHon se sohbat thi
yaad aata hai KHana-bagh apna
so raha jo lipaT ke wo gul-e-tar
dil hua aaj bagh-bagh apna
barg-e-gul saf ban gaya phaha
kya moattar hua dimagh apna
Leave a comment