Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zafar Gorakhpuri

  • Ghazal


to phir main kya agar anfas ke sab tar gum usMein


to phir maiñ kyā agar anfās ke sab taar gum us meñ
mire hone na hone ke sabhī āsār gum us meñ

mirī āñkhoñ meñ ik mausam hamesha sabz rahtā hai
ḳhudā jaane haiñ aise kaun se ashjār gum us meñ

hazāroñ saal chal kar bhī abhī ḳhud tak nahīñ pahuñchī
ye duniyā kaash ho jaa.e kabhī ik baar gum us meñ

vo jaisā abr bheje jo havā sar par chalā.e vo
mire dariyā mire sahrā mire kohsār gum us meñ

nahīñ mālūm āḳhir kis ne kis ko thaam rakkhā hai
vo mujh meñ gum hai aur mere dar o dīvār gum us meñ

'zafar' us ke the ham to kab talak us se alag rahte
hue ham ek din honā thā āḳhir-kār gum us meñ

to phir main kya agar anfas ke sab tar gum us mein
mere hone na hone ke sabhi aasar gum us mein

meri aankhon mein ek mausam hamesha sabz rahta hai
KHuda jaane hain aise kaun se ashjar gum us mein

hazaron sal chal kar bhi abhi KHud tak nahin pahunchi
ye duniya kash ho jae kabhi ek bar gum us mein

wo jaisa abr bheje jo hawa sar par chalae wo
mere dariya mere sahra mere kohsar gum us mein

nahin malum aaKHir kis ne kis ko tham rakkha hai
wo mujh mein gum hai aur mere dar o diwar gum us mein

'zafar' us ke the hum to kab talak us se alag rahte
hue hum ek din hona tha aaKHir-kar gum us mein


Pachas Sala Intekhab"

Leave a comment

+