Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghulam Murtaza Rahi

  • Ghazal


mazi! tujhse haal mera sharminda hai


māzī! tujh se ''hāl'' mirā sharminda hai
mujh se achchhā aaj mirā kārinda hai

kaisā insāñ taras rahā hai jiine ko
kaise sāhil par ik machhlī zinda hai

us ke pīchhe us se baḌh kar ik insān
aage aage ik ḳhūñ-ḳhvār darinda hai

jaise koī kaaT rahā hai jaal mirā
jaise uḌne vaalā koī parinda hai

nau-e-bashar kā vahshī-pan jab yaad karo
ye mat bhūlo jañgal kā bāshinda hai

bujhte bujhte de jaatā hai koī shah
ḳhākistar se chiñgārī sharminda hai

tumheñ agar āsār dikhā.ī dete hoñ
dekho kyā hone vaalā ā.inda hai

mazi! tujh se haal mera sharminda hai
mujh se achchha aaj mera karinda hai

kaisa insan taras raha hai jine ko
kaise sahil par ek machhli zinda hai

us ke pichhe us se baDh kar ek insan
aage aage ek KHun-KHwar darinda hai

jaise koi kaT raha hai jal mera
jaise uDne wala koi parinda hai

nau-e-bashar ka wahshi-pan jab yaad karo
ye mat bhulo jangal ka bashinda hai

bujhte bujhte de jata hai koi shah
KHakistar se chingari sharminda hai

tumhein agar aasar dikhai dete hon
dekho kya hone wala aainda hai


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+