Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Bashar Nawaz

  • Ghazal


chup-chap sulagta hai diya tum bhi to dekho


chup-chāp sulagtā hai diyā tum bhī to dekho
kis dard ko kahte haiñ vafā tum bhī to dekho

mahtāb-ba-kaf raat kase DhūñD rahī hai
kuchh duur chalo aao zarā tum bhī to dekho

kis tarah kināroñ ko hai siine se lagā.e
Thahre hue paanī kī adā tum bhī to dekho

yādoñ ke saman-zār se aa.ī huī ḳhushbū
dāman meñ chhupā laa.ī hai kyā tum bhī to dekho

kuchh raat ga.e roz jo aatī hai fazā se
har dil meñ hai ik zaḳhm chhupā tum bhī to dekho

har hañste hue phuul se rishta hai ḳhizāñ kā
har dil meñ hai ik zaḳhm chhupā tum bhī to dekho

kyuuñ aane lagīñ saañs meñ gahrā.iyāñ socho
kyuuñ TuuT chale band-e-qabā tum bhī to dekho

chup-chap sulagta hai diya tum bhi to dekho
kis dard ko kahte hain wafa tum bhi to dekho

mahtab-ba-kaf raat kase DhunD rahi hai
kuchh dur chalo aao zara tum bhi to dekho

kis tarah kinaron ko hai sine se lagae
Thahre hue pani ki ada tum bhi to dekho

yaadon ke saman-zar se aai hui KHushbu
daman mein chhupa lai hai kya tum bhi to dekho

kuchh raat gae roz jo aati hai faza se
har dil mein hai ek zaKHm chhupa tum bhi to dekho

har hanste hue phul se rishta hai KHizan ka
har dil mein hai ek zaKHm chhupa tum bhi to dekho

kyun aane lagin sans mein gahraiyan socho
kyun TuT chale band-e-qaba tum bhi to dekho


Source: Book : Range-e-Gazal (Pg. 504) Author : shahzaad ahmad Publication : Ali Printers, 19-A Abate Road, Lahore (1988) Edition : 1988

Leave a comment

+