Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tanveer Naqvi

  • Ghazal


hamare waste har aarzu kanTon ki mala hai


hamāre vāste har aarzū kāñToñ kī maalā hai
hameñ to zindagī de kar ḳhudā ne maar Daalā hai

udhar qismat hai jo har dam nayā ġham ham ko detī hai
idhar ham haiñ ki har ġham ko hamesha dil meñ paalā hai

abhī tak ik khaTak sī hai abhī tak ik chubhan sī hai
agarche ham ne apne dil se har kāñTā nikālā hai

ġhalat hī log kahte haiñ bhalā.ī kar bhalā hogā
hameñ to dukh diyā us ne jise dukh se nikālā hai

tamāshā dekhne aa.e haiñ ham apnī tabāhī kā
batā ai zindagī ab aur kyā kyā hone vaalā hai

hamare waste har aarzu kanTon ki mala hai
hamein to zindagi de kar KHuda ne mar Dala hai

udhar qismat hai jo har dam naya gham hum ko deti hai
idhar hum hain ki har gham ko hamesha dil mein pala hai

abhi tak ek khaTak si hai abhi tak ek chubhan si hai
agarche hum ne apne dil se har kanTa nikala hai

ghalat hi log kahte hain bhalai kar bhala hoga
hamein to dukh diya us ne jise dukh se nikala hai

tamasha dekhne aae hain hum apni tabahi ka
bata ai zindagi ab aur kya kya hone wala hai


Source: Book : auraq salnama magazines (Pg. 519) Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967) Edition : 1967

Leave a comment

+