Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Daur Afridi

  • Ghazal


tere nigah-e-karam jab bikhar gai hogi


tire nigāh-e-karam jab bikhar ga.ī hogī
kisī ġharīb kī duniyā sañvar ga.ī hogī

tujhī ko DhūñDhtī phirtī haiñ dar-ba-dar āñkheñ
azal ke roz tujhī par nazar ga.ī hogī

sukūt-e-sāz-e-do-ālam sunā.ī detā hai
tire firāq meñ duniyā Thahar ga.ī hogī

sahar ke chāhne vaale kā kyā huā hogā
ba-nām-e-tīra-shabī jab sahar ga.ī hogī

vo ik ḳhabar ki jo rusvā.iyoñ kā baa.is thī
hazār rañg meñ vo ik ḳhabar ga.ī hogī

sahar ke narm-o-ḳhunuk dūdhiyā ujāloñ meñ
tire jamāl kī rañgat bikhar ga.ī hogī

ye shash-jihat hai tire qātiloñ kā des to phir
tire ḳhulūs kī arthī kidhar ga.ī hogī

tere nigah-e-karam jab bikhar gai hogi
kisi gharib ki duniya sanwar gai hogi

tujhi ko DhunDhti phirti hain dar-ba-dar aankhen
azal ke roz tujhi par nazar gai hogi

sukut-e-saz-e-do-alam sunai deta hai
tere firaq mein duniya Thahar gai hogi

sahar ke chahne wale ka kya hua hoga
ba-nam-e-tira-shabi jab sahar gai hogi

wo ek KHabar ki jo ruswaiyon ka bais thi
hazar rang mein wo ek KHabar gai hogi

sahar ke narm-o-KHunuk dudhiya ujalon mein
tere jamal ki rangat bikhar gai hogi

ye shash-jihat hai tere qatilon ka des to phir
tere KHulus ki arthi kidhar gai hogi


Source:

Leave a comment

+