Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zafar Iqbal

  • Ghazal


na guman rahne diya hai na yaqin rahne diya


na gumāñ rahne diyā hai na yaqīñ rahne diyā
rāsta koī khulā ham ne nahīñ rahne diyā

us ne TukḌoñ meñ bikherā huā thā mujh ko jahāñ
jā uThāyā hai kahīñ se to kahīñ rahne diyā

saj rahe the ye shab o roz kuchh aise tujh se
ham ko duniyā hī pasand aa ga.ī diiñ rahne diyā

ḳhud to bāġhī hue ham tujh se magar saath hī saath
dil-e-rusvā ko tire zer-e-nagīñ rahne diyā

jā-ba-jā is meñ bhī tere hī nishāñ the shāmil
ham ne ik naqsh agar apne ta.iiñ rahne diyā

ik ḳhabar thī jise zāhir na kiyā ham ne kabhī
ik ḳhazāna thā jise zer-e-zamīñ rahne diyā

ḳhud to bāhar hue ham ḳhāna-e-dil se lekin
vo kisī ḳhvāb meñ thā us ko yahīñ rahne diyā

āsmāñ se kabhī ham ne bhī utārā na use
aur us ne bhī hameñ ḳhāk-nashīñ rahne diyā

ham ne chheḌā nahīñ ashyā-e-mohabbat ko 'zafar'
jo jahāñ par thī paḌī us ko vahīñ rahne diyā

na guman rahne diya hai na yaqin rahne diya
rasta koi khula hum ne nahin rahne diya

us ne TukDon mein bikhera hua tha mujh ko jahan
ja uThaya hai kahin se to kahin rahne diya

saj rahe the ye shab o roz kuchh aise tujh se
hum ko duniya hi pasand aa gai din rahne diya

KHud to baghi hue hum tujh se magar sath hi sath
dil-e-ruswa ko tere zer-e-nagin rahne diya

ja-ba-ja is mein bhi tere hi nishan the shamil
hum ne ek naqsh agar apne tain rahne diya

ek KHabar thi jise zahir na kiya hum ne kabhi
ek KHazana tha jise zer-e-zamin rahne diya

KHud to bahar hue hum KHana-e-dil se lekin
wo kisi KHwab mein tha us ko yahin rahne diya

aasman se kabhi hum ne bhi utara na use
aur us ne bhi hamein KHak-nashin rahne diya

hum ne chheDa nahin ashya-e-mohabbat ko 'zafar'
jo jahan par thi paDi us ko wahin rahne diya


Leave a comment

+