Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Naeem Raza Bhatti

  • Ghazal


hai talKH-tar hayat is sharab se


hai talḳh-tar hayāt is sharāb se
tū ishq haar degā ijtināb se

kahāniyāñ dahak rahī haiñ raat kī
badan ulajh rahe haiñ māhtāb se

ḳhudā-e-ḳhvāb ḳhema-zan thā aañkh meñ
so dil chaTaḳh rahā thā iztirāb se

maiñ raushnī ke biij bo ke so gayā
charāġh ug rahe haiñ kisht-e-ḳhvāb se

rafū-garo ham aise ḳhasta-tan yahāñ
udhaḌ udhaḌ ke ā.eñge sarāb se

'razā' ye ḳhushbuoñ kā zā.iqa nahīñ
jo ris rahā hai jism ke gulāb se

hai talKH-tar hayat is sharab se
tu ishq haar dega ijtinab se

kahaniyan dahak rahi hain raat ki
badan ulajh rahe hain mahtab se

KHuda-e-KHwab KHema-zan tha aankh mein
so dil chaTaKH raha tha iztirab se

main raushni ke bij bo ke so gaya
charagh ug rahe hain kisht-e-KHwab se

rafu-garo hum aise KHasta-tan yahan
udhaD udhaD ke aaenge sarab se

'raza' ye KHushbuon ka zaiqa nahin
jo ris raha hai jism ke gulab se


Leave a comment

+