Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Prakhar Malviya Kanha

  • Ghazal


ishq ka rog bhala kaise palega mujhse


ishq kā rog bhalā kaise palegā mujh se
qatl hotā hī nahīñ yaar anā kā mujh se

garm paanī kī nadī khul ga.ī siine pe mire
kal gale lag ke baḌī der vo royā mujh se

maiñ batātā huuñ kuchh ik din se sabhī ko kam-tar
sāhibo uTh gayā kyā merā bharosa mujh se

ik tirā ḳhvāb hī kaafī hai mire uḌne ko
rashk kartā hai mirī jaan parinda mujh se

yak-ba-yak Duub gayā ashkoñ ke dariyā meñ maiñ
bāñdh yādoñ kā tirī aaj jo TuuTā mujh se

kisī patthar se dabī hai merī har ik dhaḌkan
siikh lo zabt kā jo bhī hai salīqa mujh se

koī darvāza nahīñ khultā magar jaan mirī
baat kartā hai tire ghar kā darīcha mujh se

bujh gayā maiñ to ġhazal paḌh ke vo jis meñ tū thā
par huā bazm kī raunaq meñ izāfa mujh se

ishq ka rog bhala kaise palega mujh se
qatl hota hi nahin yar ana ka mujh se

garm pani ki nadi khul gai sine pe mere
kal gale lag ke baDi der wo roya mujh se

main batata hun kuchh ek din se sabhi ko kam-tar
sahibo uTh gaya kya mera bharosa mujh se

ek tera KHwab hi kafi hai mere uDne ko
rashk karta hai meri jaan parinda mujh se

yak-ba-yak Dub gaya ashkon ke dariya mein main
bandh yaadon ka teri aaj jo TuTa mujh se

kisi patthar se dabi hai meri har ek dhaDkan
sikh lo zabt ka jo bhi hai saliqa mujh se

koi darwaza nahin khulta magar jaan meri
baat karta hai tere ghar ka daricha mujh se

bujh gaya main to ghazal paDh ke wo jis mein tu tha
par hua bazm ki raunaq mein izafa mujh se

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Prakhar Malviya Kanha

Leave a comment

+