Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zahida Kamal

  • Ghazal


ho gae ambar-fashan donon-jahan mere liye


ho ga.e ambar-fashāñ donoñ-jahāñ mere liye
muskurāyā gulshan-e-kaun-o-makāñ mere liye

kyā huā maiñ ne jo gaa.e naġhma-e-dār-o-rasan
tum ne ḳhud chheḌ thā sāz-e-imtihāñ mere liye

aañkh bhar aa.ī guloñ ke chaak dāmāñ dekh kar
nashtar-e-ġham hai chaman kī dāstāñ mere liye

ye samajh kar apnī barbādī par hañstī huuñ mudām
terī duniyā meñ nahīñ shāyad amaañ mere liye

ham-kanār-e-jalva-e-yazdāñ hai merā dil 'kamāl'
kaif-zā haiñ raat kī tanhā.iyāñ mere liye

ho gae ambar-fashan donon-jahan mere liye
muskuraya gulshan-e-kaun-o-makan mere liye

kya hua main ne jo gae naghma-e-dar-o-rasan
tum ne KHud chheD tha saz-e-imtihan mere liye

aankh bhar aai gulon ke chaak daman dekh kar
nashtar-e-gham hai chaman ki dastan mere liye

ye samajh kar apni barbaadi par hansti hun mudam
teri duniya mein nahin shayad aman mere liye

ham-kanar-e-jalwa-e-yazdan hai mera dil 'kamal'
kaif-za hain raat ki tanhaiyan mere liye


Source: Book : Pathan Shayraat ka Tazkira (Pg. 201) Author : Khan Mohammad Atif Publication : Khan Mohammad Atif (1983) Edition : 1983

Leave a comment

+