Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iftikhar Naseem

  • Ghazal


jaane walon ke liye tu aur kya le jaega


jaane vāloñ ke liye tū aur kyā le jā.egā
dekh le duniyā jahāñ tak rāsta le jā.egā

ḳhvāhish-e-guftār rah jā.egī phir zer-e-zabāñ
izn to de degā lekin hausla le jā.egā

guuñj ban kar lauT jā.egī mirī fariyād bhī
shab kā sannāTā kahāñ merī sadā le jā.egā

dil se miT jā.egā ik din dekhne milne kā shauq
jitne manzar haiñ vo āñkhoñ meñ sajā le jā.egā

lutf phir aa.egā kyā sayyāhī-e-dil meñ 'nasīm'
is khañDar se jo milegā vo uThā le jā.egā

jaane walon ke liye tu aur kya le jaega
dekh le duniya jahan tak rasta le jaega

KHwahish-e-guftar rah jaegi phir zer-e-zaban
izn to de dega lekin hausla le jaega

gunj ban kar lauT jaegi meri fariyaad bhi
shab ka sannaTa kahan meri sada le jaega

dil se miT jaega ek din dekhne milne ka shauq
jitne manzar hain wo aankhon mein saja le jaega

lutf phir aaega kya sayyahi-e-dil mein 'nasim'
is khanDar se jo milega wo uTha le jaega


Source: Book : sargoshiyan zamanon ki (Pg. 129)

Leave a comment

+