Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nadeem Sirsivi

  • Ghazal


riyazaton ki tapish mein rah kar pighal raha hun


riyāzatoñ kī tapish meñ rah kar pighal rahā huuñ
ye baat sach hai maiñ dhīre dhīre badal rahā huuñ

alāmat-e-ḳhāk-zādgī ho mazīd raushan
bas is liye ḳhaak apne chehre pe mal rahā huuñ

utaar kar qarz zindagānī kā rafta rafta
nafas ke vahshat-kade se bāhar nikal rahā huuñ

anā-parastoñ ke beach apnī anā ke sar ko
huuñ munkasir is liye musalsal kuchal rahā huuñ

duā.eñ maañ kī qadam qadam sā.ebāñ banī haiñ
'nadīm' gir gir ke is liye maiñ sambhal rahā huuñ

riyazaton ki tapish mein rah kar pighal raha hun
ye baat sach hai main dhire dhire badal raha hun

alamat-e-KHak-zadgi ho mazid raushan
bas is liye KHak apne chehre pe mal raha hun

utar kar qarz zindagani ka rafta rafta
nafas ke wahshat-kade se bahar nikal raha hun

ana-paraston ke beach apni ana ke sar ko
hun munkasir is liye musalsal kuchal raha hun

duaen man ki qadam qadam saeban bani hain
'nadim' gir gir ke is liye main sambhal raha hun


Pachas Sala Intekhab"

Leave a comment

+