Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Vikas Sharma Raaz

  • Ghazal


dil-khanDar mein khaDe hue hain hum


dil-khañDar meñ khaḌe hue haiñ ham
bāzgasht apnī sun rahe haiñ ham

muddateñ ho ga.iiñ hisāb kiye
kyā patā kitne rah ga.e haiñ ham

jab hameñ sāzgār hai hī nahīñ
jism ko pahne kyuuñ hue haiñ ham

rafta rafta qubūl hoñge use
raushnī ke liye na.e haiñ ham

vahshateñ lag ga.iiñ Thikāne sab
dasht ko raas aa ga.e haiñ ham

dhun to āhista baj rahī hai 'rāz'
raqs kuchh tez kar rahe haiñ ham

dil-khanDar mein khaDe hue hain hum
bazgasht apni sun rahe hain hum

muddaten ho gain hisab kiye
kya pata kitne rah gae hain hum

jab hamein sazgar hai hi nahin
jism ko pahne kyun hue hain hum

rafta rafta qubul honge use
raushni ke liye nae hain hum

wahshaten lag gain Thikane sab
dasht ko ras aa gae hain hum

dhun to aahista baj rahi hai 'raaz'
raqs kuchh tez kar rahe hain hum

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Vikas Sharma Raaz

Source: Book : Nawa-e-harf-e-khamoosh (Pg. 359) Author : Zafar Kaleem Publication : Zafar Kaleem (2007) Edition : 2007

Leave a comment

+