Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Vandana Bhardwaj Tiwari Vani

  • Ghazal


jage se kitne ghar dekhe raat ki KHamushi mein


jaage se kitne ghar dekhe raat kī ḳhāmushī meñ
dīvār pe saa.e hī to the raat kī ḳhāmushī meñ

gul-būTe aur baaġh jab so jaate haiñ ḳhvāboñ ko oḌhe
tab raat raanī hī ḳhushbū de raat kī ḳhāmushī meñ

din bhar ḳhud apnī lagā.ī ātish meñ dil jal rahā thā
ab sham.a sā bujh rahā hai ye raat kī ḳhāmushī meñ

tanhā.ī meñ chubhte haiñ jab yādoñ ke nashtar se aksar
goshe meñ ham rote haiñ khul ke raat kī ḳhāmushī meñ

gar niiñd hai to phir in jaltī āñkhoñ meñ tū utar aa
gar maut hai to le chal yaañ se raat kī ḳhāmushī meñ

kaaTī nahīñ jaatī ab mujh se hijr kī lambī rāteñ
koī mire dil ko bahlā de raat kī ḳhāmushī meñ

ho jhiil meñ chāñd utrā yā ḳhvāb meñ khoī 'vānī'
sab apne hī ashk se bhīge raat kī ḳhāmushī meñ

jage se kitne ghar dekhe raat ki KHamushi mein
diwar pe sae hi to the raat ki KHamushi mein

gul-buTe aur bagh jab so jate hain KHwabon ko oDhe
tab raat rani hi KHushbu de raat ki KHamushi mein

din bhar KHud apni lagai aatish mein dil jal raha tha
ab shama sa bujh raha hai ye raat ki KHamushi mein

tanhai mein chubhte hain jab yaadon ke nashtar se aksar
goshe mein hum rote hain khul ke raat ki KHamushi mein

gar nind hai to phir in jalti aankhon mein tu utar aa
gar maut hai to le chal yan se raat ki KHamushi mein

kaTi nahin jati ab mujh se hijr ki lambi raaten
koi mere dil ko bahla de raat ki KHamushi mein

ho jhil mein chand utra ya KHwab mein khoi 'wani'
sab apne hi ashk se bhige raat ki KHamushi mein


Leave a comment

+