Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kaleem Ahmadabadi

  • Ghazal


kaun le gaya dil se soz-o-saz-e-ranai


kaun le gayā dil se soz-o-sāz-e-rānā.ī
sub.h se jhalaktī hai aaj shām-e-tanhā.ī

dahr kī fazāoñ meñ kaun raqs kartā hai
kaun kar rahā hai yuuñ aap apnī rusvā.ī

ek ik nafas meñ thā kaif-o-vajd kā aalam
dil ki bhuul baiThā ab zauq-e-naġhma-pairā.ī

dār-o-gīr-e-duniyā ko ai 'kalīm' kyā kahne
bas ki is zamāne meñ ḳhāmushī hai goyā.ī

kaun le gaya dil se soz-o-saz-e-ranai
subh se jhalakti hai aaj sham-e-tanhai

dahr ki fazaon mein kaun raqs karta hai
kaun kar raha hai yun aap apni ruswai

ek ek nafas mein tha kaif-o-wajd ka aalam
dil ki bhul baiTha ab zauq-e-naghma-pairai

dar-o-gir-e-duniya ko ai 'kalim' kya kahne
bas ki is zamane mein KHamushi hai goyai


Source: Mata-e-Kaleem

Leave a comment

+