pal pal jiine kī ḳhvāhish meñ karb-e-shām-o-sahar māñgā
sab the nashāt-e-naf.a ke pīchhe ham ne ranj-e-zarar māñgā
ab tak jo dastūr-e-junūñ thā ham ne vahī manzar māñgā
sahrā dil ke barābar chāhā aur yā āñkhoñ bhar māñgā
abr ke ehsāñ se bachnā thā dil ko harā bhī rakhnā thā
ham ne us paude kī ḳhātir mauja-e-dīda-e-tar māñgā
fāsle kuchh qadmoñ meñ sameTe āñkhoñ meñ kuchh dhuup ke phuul
is ke alāva aur na ham ne kuchh sāmān-e-safar māñgā
koī sar-o-sāmān nahīñ aur āñdhī har din kā ma.amūl
ham ne bhī kyā soch samajh kar be-dīvār kā ghar māñgā
soch rahā huuñ apnī hastī meñ apnā kyā hissa thā
dil par yāroñ kā haq Thahrā aur dushman ne sar māñgā
khulā ki vo bhī terī talab kā ik be-nām tasalsul thā
duniyā se jo bhī ham ne hālāt ke zer-e-asar māñgā
pal pal jine ki KHwahish mein karb-e-sham-o-sahar manga
sab the nashat-e-nafa ke pichhe hum ne ranj-e-zarar manga
ab tak jo dastur-e-junun tha hum ne wahi manzar manga
sahra dil ke barabar chaha aur ya aankhon bhar manga
abr ke ehsan se bachna tha dil ko hara bhi rakhna tha
hum ne us paude ki KHatir mauja-e-dida-e-tar manga
fasle kuchh qadmon mein sameTe aankhon mein kuchh dhup ke phul
is ke alawa aur na hum ne kuchh saman-e-safar manga
koi sar-o-saman nahin aur aandhi har din ka mamul
hum ne bhi kya soch samajh kar be-diwar ka ghar manga
soch raha hun apni hasti mein apna kya hissa tha
dil par yaron ka haq Thahra aur dushman ne sar manga
khula ki wo bhi teri talab ka ek be-nam tasalsul tha
duniya se jo bhi hum ne haalat ke zer-e-asar manga
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment