Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hameed Jalandhari

  • Ghazal


ai dost dard-e-dil ka mudawa kiya na jae


ai dost dard-e-dil kā mudāvā kiyā na jaa.e
va.ada agar kiyā hai to iifā kiyā na jaa.e

aane lage haiñ vo bhī ayādat ke vāste
ai chārāgar marīz ko achchhā kiyā na jaa.e

majbūriyoñ ke raaz na khul jaa.eñ ba.ad-e-marg
qātil hamāre qatl kā charchā kiyā na jaa.e

aa.egī apne lab pe to hogī parā.ī baat
lāzim hai rāz-e-dil kabhī ifshā kiyā na jaa.e

vo ḳhud hī jaan leñge mire dil kā mudda.ā
behtar yahī hai arz-e-tamannā kiyā na jaa.e

ai dost dard-e-dil ka mudawa kiya na jae
wada agar kiya hai to ifa kiya na jae

aane lage hain wo bhi ayaadat ke waste
ai chaaragar mariz ko achchha kiya na jae

majburiyon ke raaz na khul jaen baad-e-marg
qatil hamare qatl ka charcha kiya na jae

aaegi apne lab pe to hogi parai baat
lazim hai raaz-e-dil kabhi ifsha kiya na jae

wo KHud hi jaan lenge mere dil ka muddaa
behtar yahi hai arz-e-tamanna kiya na jae


Source: Book : Shaam e Sehra (Pg. 159) Author : Hameed Jalandhari Publication : Maktaba Karwaan, Lahore (1975) Edition : 1975

Leave a comment

+