Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hamdam Kashmiri

  • Ghazal


kaam aasan hai magar dekhiye dushwar bhi hai


kaam āsāñ hai magar dekhiye dushvār bhī hai
aage darvāze ke rakkhī huī dīvār bhī hai

dene vaale se mujhe koī shikāyat kyuuñ hai
raah meñ dhuup bhī hai sāya-e-ashjār bhī hai

qatl kar ke jo mujhe saa.e meñ pheñk aayā hai
log kahte haiñ vahī merā taraf-dār bhī hai

tujh ko bas apnī hī tasvīr nazar aatī hai
aa.ine meñ kahīñ hairat kahīñ zañgār bhī hai

kyuuñ bhalā vaqt kā nuqsān karoge pyāre
jo yahāñ ab hai tamāshā vahī us paar bhī hai

mere aabā se mujhe kyā na milā hai 'hamdam'
taaq meñ dekhiye mus.haf bhī hai talvār bhī hai

kaam aasan hai magar dekhiye dushwar bhi hai
aage darwaze ke rakkhi hui diwar bhi hai

dene wale se mujhe koi shikayat kyun hai
rah mein dhup bhi hai saya-e-ashjar bhi hai

qatl kar ke jo mujhe sae mein phenk aaya hai
log kahte hain wahi mera taraf-dar bhi hai

tujh ko bas apni hi taswir nazar aati hai
aaine mein kahin hairat kahin zangar bhi hai

kyun bhala waqt ka nuqsan karoge pyare
jo yahan ab hai tamasha wahi us par bhi hai

mere aaba se mujhe kya na mila hai 'hamdam'
taq mein dekhiye mushaf bhi hai talwar bhi hai


Source: Book : Waraq-e-saadah (Gazals) (Pg. 89) Author : Hamdam Kashmiri Publication : Hamdam Kashmiri, Khan Mahel, Shrinagar (2012) Edition : 2012

Leave a comment

+