Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Badr Wasti

  • Ghazal


wo jab dega jo kuchh dega dega apne walon ko


vo jab degā jo kuchh degā degā apne vāloñ ko
vaise bhī kuchh miltā kab hai dhuup meñ tapne vāloñ ko

diin dharm mahfūz haiñ lekin tasvīroñ juzdānoñ meñ
vaqt paḌe to le aate haiñ maalā japne vāloñ ko

ḳhvāboñ kī bārish to saare zaḳhm hare kar detī hai
niiñd kahāñ se aa.egī phir bhīge sapne vāloñ ko

aḳhbāroñ kī surḳhī banñā sab ke bas kī baat nahīñ
ūñchā mol chukānā paḌtā hai roz ke chhapne vāloñ ko

jaane kaise aise vaise aage baḌhte jaate haiñ
paas se jā kar kis ne dekhā 'badr' panapne vāloñ ko

wo jab dega jo kuchh dega dega apne walon ko
waise bhi kuchh milta kab hai dhup mein tapne walon ko

din dharm mahfuz hain lekin taswiron juzdanon mein
waqt paDe to le aate hain mala japne walon ko

KHwabon ki barish to sare zaKHm hare kar deti hai
nind kahan se aaegi phir bhige sapne walon ko

aKHbaron ki surKHi banna sab ke bas ki baat nahin
uncha mol chukana paDta hai roz ke chhapne walon ko

jaane kaise aise waise aage baDhte jate hain
pas se ja kar kis ne dekha 'badr' panapne walon ko


Source: Book : TO MAIN KAHAN HOON (POETRY) (Pg. 47) Author : Badr Wasti Publication : Madhya Pradesh Urdu Academy (2010) Edition : 2010

Leave a comment

+