Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Vishvanath Dard

  • Ghazal


ab hum charagh ban ke sar-e-rah jal uThe


ab ham charāġh ban ke sar-e-rāh jal uThe
dekheñ to kis tarah se bhaTakte haiñ qāfile

jo muntazir the baat ke muñh dekhte rahe
ḳhāmosh rah ke ham to baḌī baat kah ga.e

kab manziloñ ne chūme qadam un ke hamdamo
har raah roke saath jo rah-gīr chal paḌe

jaane zabāñ kī baat thī yā rañg ruup kī
ham aap apne shahr meñ jo ajnabī rahe

vo log ḳhush-nasīb the apnī nigāh meñ
jo har kisī ke shauq kī ḳhud dāstāñ bane

ma.alūm jin kā nām-o-nishāñ bhī nahīñ hameñ
ham un kā shahr shahr pata pūchhte phire

kahne ko ik jahāñ se ulajhte rahe magar
ai dard apne saa.e se Dar Dar ke ham jiye

ab hum charagh ban ke sar-e-rah jal uThe
dekhen to kis tarah se bhaTakte hain qafile

jo muntazir the baat ke munh dekhte rahe
KHamosh rah ke hum to baDi baat kah gae

kab manzilon ne chume qadam un ke hamdamo
har rah roke sath jo rah-gir chal paDe

jaane zaban ki baat thi ya rang rup ki
hum aap apne shahr mein jo ajnabi rahe

wo log KHush-nasib the apni nigah mein
jo har kisi ke shauq ki KHud dastan bane

malum jin ka nam-o-nishan bhi nahin hamein
hum un ka shahr shahr pata puchhte phire

kahne ko ek jahan se ulajhte rahe magar
ai dard apne sae se Dar Dar ke hum jiye


Source: Intikhab Apna Apna

Leave a comment

+