Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Prem Kumar Nazar

  • Ghazal


bite baras ki yaad ka paikar utar de


biite baras kī yaad kā paikar utaar de
dīvār se purānā calendar utaar de

rakh dī hai us ne khol ke ḳhud jism kī kitāb
saada varaq pe le koī manzar utaar de

bhīgā huā libās badan bhī jalā.egā
us se kaho ki sar se vo gāgar utaar de

donoñ meñ ek ko to milīñ sukh kī sā.ateñ
lā apnā bojh bhī mire sar par utaar de

phir kyā karoge hai to usī kā bunā huā
kah de agar vo lā ye sweater utaar de

yuuñ jhanjhanā ke TūTtā taarā bikhar gayā
jaise urūs-e-shab koī zevar utaar de

chāhe hai jān-o-māl kī jo ḳhairiyat 'nazar'
shahr-e-havas se duur hī lashkar utaar de

bite baras ki yaad ka paikar utar de
diwar se purana calendar utar de

rakh di hai us ne khol ke KHud jism ki kitab
sada waraq pe le koi manzar utar de

bhiga hua libas badan bhi jalaega
us se kaho ki sar se wo gagar utar de

donon mein ek ko to milin sukh ki saaten
la apna bojh bhi mere sar par utar de

phir kya karoge hai to usi ka buna hua
kah de agar wo la ye sweater utar de

yun jhanjhana ke TuTta tara bikhar gaya
jaise urus-e-shab koi zewar utar de

chahe hai jaan-o-mal ki jo KHairiyat 'nazar'
shahr-e-hawas se dur hi lashkar utar de


Source: Book : Mujalla Dastavez (Pg. 569) Author : Aziz Nabeel Publication : Edarah Dastavez (2013-14) Edition : 2013-14

Leave a comment

+