Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faiz Ahmad Faiz

  • Ghazal


nahin nigah mein manzil to justuju hi sahi


nahīñ nigāh meñ manzil to justujū hī sahī
nahīñ visāl mayassar to aarzū hī sahī

na tan meñ ḳhuun farāham na ashk āñkhoñ meñ
namāz-e-shauq to vājib hai be-vazū hī sahī

kisī tarah to jame bazm mai-kade vaalo
nahīñ jo bāda-o-sāġhar to hāv-hū hī sahī

gar intizār kaThin hai to jab talak ai dil
kisī ke vāda-e-fardā kī guftugū hī sahī

dayār-e-ġhair meñ mahram agar nahīñ koī
to 'faiz' zikr-e-vatan apne rū-ba-rū hī sahī

nahin nigah mein manzil to justuju hi sahi
nahin visal mayassar to aarzu hi sahi

na tan mein KHun faraham na ashk aankhon mein
namaz-e-shauq to wajib hai be-wazu hi sahi

kisi tarah to jame bazm mai-kade walo
nahin jo baada-o-saghar to haw-hu hi sahi

gar intizar kaThin hai to jab talak ai dil
kisi ke wada-e-farda ki guftugu hi sahi

dayar-e-ghair mein mahram agar nahin koi
to 'faiz' zikr-e-watan apne ru-ba-ru hi sahi

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Iqbal Bano Faiz Ahmad Faiz Abida Parveen Teena Sani RECITATIONS Abida Parveen



00:00/00:00 nahin nigah mein manzil to justuju hi sahi Abida Parveen

Source: Book : Kulliyat-e-Yagana (Pg. 283) Author : Meerza Yagana Changezi Lukhnawi Publication : Farib Book Depot (P) Ltd. (2005) Edition : 2005

Leave a comment

+