Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dattatriya Kaifi

  • Ghazal


saqiya kis ko hawas hai ki piyo aur pilao


sāqiyā kis ko havas hai ki piyo aur pilāo
ab vo dil hī na rahā aur umañgeñ na vo chaav

rahne de zikr ḳham-e-zulf-e-musalsal ko nadīm
us ke to dhyān se bhī hotā hai dil ko uljhāo

kūcha-e-ishq meñ jaanā na kabhī bhuul ke tum
hai vahāñ āb-e-dam-e-teġh kā har jā chhiḌkāv

kyā zarūrat ki hasīnoñ ke dahan kī ḳhātir
tum kamar bāñdh ke mulk-e-adamistāñ tak jaao

kyuuñ miTo naqsh-e-qadam saañ kisī raftār pe tum
baiThe biThlā.e ġharaz kyā hai ki ik hashr uThāo

kis tarah koī unheñ raah pe laa.e yārab
aur bargashta hue jaate haiñ jitnā samjhāo

nā-ḳhudā ban ke ḳhudā paar kar is kā beḌā
be-tarah phañs ga.ī hai hind kī mañjdhār meñ naav

ye nahīñ hai ki nahīñ qābiliyyat kuchh un meñ
himmateñ hārne kā ho gayā kuchh un kā subhāv

ġharb hai mashriq-e-ḳhurshed-e-ulūm-o-hikmat
ab ye lāzim hai ki lau apnī udhar ko hī lagāo

jo qadāmat pe uḌe baiThe haiñ vo haiñ gumrāh
un se bachnā haiñ ġhazab un ke utaar aur chaḌhāo

asia ke to tumheñ naam se kahnā hī nahīñ
vahī sūrat hai use kitnā hī ulTo palTāo

rasm-o-maz.hab se na tum ġhair bano aapas meñ
ho chalat meñ koī yā Thaah meñ sam par mal jaao

bas karo rahne bhī do vāz-o-nasīhat 'kaifī'
nāsehoñ ko to yahāñ paḌtī haiñ bāzār ke bhaav

saqiya kis ko hawas hai ki piyo aur pilao
ab wo dil hi na raha aur umangen na wo chaw

rahne de zikr KHam-e-zulf-e-musalsal ko nadim
us ke to dhyan se bhi hota hai dil ko uljhao

kucha-e-ishq mein jaana na kabhi bhul ke tum
hai wahan aab-e-dam-e-tegh ka har ja chhiDkaw

kya zarurat ki hasinon ke dahan ki KHatir
tum kamar bandh ke mulk-e-adamistan tak jao

kyun miTo naqsh-e-qadam san kisi raftar pe tum
baiThe biThlae gharaz kya hai ki ek hashr uThao

kis tarah koi unhen rah pe lae yarab
aur bargashta hue jate hain jitna samjhao

na-KHuda ban ke KHuda par kar is ka beDa
be-tarah phans gai hai hind ki manjdhaar mein naw

ye nahin hai ki nahin qabiliyyat kuchh un mein
himmaten haarne ka ho gaya kuchh un ka subhaw

gharb hai mashriq-e-KHurshed-e-ulum-o-hikmat
ab ye lazim hai ki lau apni udhar ko hi lagao

jo qadamat pe uDe baiThe hain wo hain gumrah
un se bachna hain ghazab un ke utar aur chaDhao

asia ke to tumhein nam se kahna hi nahin
wahi surat hai use kitna hi ulTo palTao

rasm-o-mazhab se na tum ghair bano aapas mein
ho chalat mein koi ya Thah mein sam par mal jao

bas karo rahne bhi do waz-o-nasihat 'kaifi'
nasehon ko to yahan paDti hain bazar ke bhaw


Leave a comment

+