Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zafar Iqbal

  • Ghazal


KHamushi achchhi nahin inkar hona chahiye


ḳhāmushī achchhī nahīñ inkār honā chāhiye
ye tamāshā ab sar-e-bāzār honā chāhiye

ḳhvāb kī tābīr par isrār hai jin ko abhī
pahle un ko ḳhvāb se bedār honā chāhiye

Duub kar marnā bhī uslūb-e-mohabbat ho to ho
vo jo dariyā hai to us ko paar honā chāhiye

ab vahī karne lage dīdār se aage kī baat
jo kabhī kahte the bas dīdār honā chāhiye

baat puurī hai adhūrī chāhiye ai jān-e-jāñ
kaam āsāñ hai ise dushvār honā chāhiye

dostī ke naam par kiije na kyūñkar dushmanī
kuchh na kuchh āḳhir tarīq-e-kār honā chāhiye

jhuuT bolā hai to qaa.em bhī raho us par 'zafar'
aadmī ko sāhab-e-kirdār honā chāhiye

KHamushi achchhi nahin inkar hona chahiye
ye tamasha ab sar-e-bazar hona chahiye

KHwab ki tabir par israr hai jin ko abhi
pahle un ko KHwab se bedar hona chahiye

Dub kar marna bhi uslub-e-mohabbat ho to ho
wo jo dariya hai to us ko par hona chahiye

ab wahi karne lage didar se aage ki baat
jo kabhi kahte the bas didar hona chahiye

baat puri hai adhuri chahiye ai jaan-e-jaan
kaam aasan hai ise dushwar hona chahiye

dosti ke nam par kije na kyunkar dushmani
kuchh na kuchh aaKHir tariq-e-kar hona chahiye

jhuT bola hai to qaem bhi raho us par 'zafar'
aadmi ko sahab-e-kirdar hona chahiye

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Zafar Iqbal RECITATIONS Zafar Iqbal Nomaan Shauque



00:00/00:00 KHamushi achchhi nahin inkar hona chahiye Zafar Iqbal

Source: Book : Muasir (Pg. 226) Author : Habibullah Publication : Maktaba muasir 304 alfaisal palaza, Shahrah qaid-e-azam, lahore

Leave a comment

+