Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imdad Ali Bahr

  • Ghazal


sina-kubi kar chuke gham kar chuke


sīna-kūbī kar chuke ġham kar chuke
jīte-jī ham apnā mātam kar chuke

dekhiye milte haiñ kis din yaar se
iid bhī kar leñ moharram kar chuke

dhyān un āñkhoñ kā jaane kā nahīñ
ye hiran paale hue ram kar chuke

dil lagā kar dukh uThā.e be-shumār
dam-shumārī bhī koī dam kar chuke

ab kahāñ misl-e-anāsir ittihād
chaar din vo rabt-e-bāham kar chuke

ab to zulfoñ ko na rakkho fard fard
daftar-e-ālam ko barham kar chuke

ḳhaak ab in āñsuoñ ko rokiye
ye hameñ rusvā-e-ālam kar chuke

dīda-o-dil kī badaulat ishq haiñ
ro.e barsoñ muddatoñ ġham kar chuke

vo hameñ miltā nahīñ kyā kījiye
apnī sī to just-o-jū ham kar chuke

vā.izo jo chāho farmāo hameñ
bai.at-e-pīr-e-muġhāñ ham kar chuke

'bahr' mustaġhnī haiñ fikr-e-sher se
gauhar-e-ma.anī farāham kar chuke

sina-kubi kar chuke gham kar chuke
jite-ji hum apna matam kar chuke

dekhiye milte hain kis din yar se
id bhi kar len moharram kar chuke

dhyan un aankhon ka jaane ka nahin
ye hiran pale hue ram kar chuke

dil laga kar dukh uThae be-shumar
dam-shumari bhi koi dam kar chuke

ab kahan misl-e-anasir ittihad
chaar din wo rabt-e-baham kar chuke

ab to zulfon ko na rakkho fard fard
daftar-e-alam ko barham kar chuke

KHak ab in aansuon ko rokiye
ye hamein ruswa-e-alam kar chuke

dida-o-dil ki badaulat ishq hain
roe barson muddaton gham kar chuke

wo hamein milta nahin kya kijiye
apni si to just-o-ju hum kar chuke

waizo jo chaho farmao hamein
baiat-e-pir-e-mughan hum kar chuke

'bahr' mustaghni hain fikr-e-sher se
gauhar-e-mani faraham kar chuke


Leave a comment

+